mehman ko ghar mein aae zamana guzar gaya dil ka diya bujhae zamana guzar gaya aankhon mein ashk aae hain sun kar hansi ka nam lekin hansi ko aae zamana guzar gaya ai zindagi utar bhi is bar dosh ko mayyat meri uthae zamana guzar gaya kya jaane kya chhupae tha daman ki ot mein mujh se nazar bachae zamana guzar gaya kahta raha hun dil se ki aaegi phir bahaar is aarzu mein hae zamana guzar gaya ab bhi fareb deti hai aankhon ki raushni surat teri bhulae zamana guzar gaya 'simab' main hun aur musalsal gham-e-hayat khushiyon ko munh dikhae zamana guzar gaya