kitab-e-umr mein ek wo bhi bab hota hai har ek sawal jahan la-jawab hota hai main pi gaya hun yahi soch kar tere aansu hasin aankhon ka pani sharab hota hai mere bhi hath mein aaya tha jam tut gaya kisi kisi ka muqaddar kharab hota hai labon se harf-e-mohabbat ada nahin hota nazar nazar se sawal-o-jawab hota hai kisi ke dard ko samjho kisi ka gham le lo kisi ka hath batana sawab hota hai kabhi wo jagta rahta hai soi aankhon mein kabhi wo jagti aankhon ka khwab hota hai makin ban ke yahan kaun aaega 'simab' dil-e-shikasta makan-e-kharab hota hai