mehnat ki jab khushbu tapke parchhain muskati hai thak kar un ki banhon mein tab angdai muskati hai un ki khushbu pa kar dil ki angnai muskati hai un ko chhune se yaadon ki binai muskati hai jin ke khulne se duniya ka har gulshan aabaad hua un kaliyon ki khushi saja kar shahnai muskati hai un ki khushbu se khushbu hai gulshan ke sab phulon mein un ko chhu kar aane wali purwai muskati hai yaaden ghayal sansen bojhal jina hai dushwar mera meri haalat dekh ke ab to tanhai muskati hai