kam na tha us gali ke bhulane ka gham us pe bhaari raha yaad aane ka gham aarzi thi zamane ki ek ek khushi daimi tha magar us ke jaane ka gham ek ummid laghar si be-ruh si aas ki dor ke tut jaane ka gham roz bas ek hi gham se bojhal hai dil sham dhalne ka gham raat chhane ka gham ek arsa hua phir bhi taza raha aaj bhi us ke us din na aane ka gham zer-e-lab koi sahmi hui iltija zahr tha us pe yun muskurane ka gham de ke dil le gaya umr bhar ka sukun chal diya de ke sare zamane ka gham ab wo collage kahan aur wo ladke kahan hasb-e-ummid paper na aane ka gham