mehnat ki kamai pe qanaat nahin karta

mehnat ki kamai pe qanaat nahin karta
bandon ki tarah kya wo ibaadat nahin karta

chhoton se wo tazim ki ummid na rakkhe
jo apne badon ki kabhi izzat nahin karta

bachchon ko sunata hai buzurgon ki kahani
wo apni riwayat se baghawat nahin karta

ghurbat mein bichha deta hai qalin-e-mohabbat
mehman ki aamad pe shikayat nahin karta

buzdil bhi wo kahlane se darta hai jahan mein
sach bolne ki bhi kabhi jurat nahin karta

is waste kuchh log khafa rahte hain us se
'shabbir' kisi rai ko parbat nahin karta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close