kabhi guman se bahar kabhi guman mein hai wo be-nishan jo maujud har nishan mein hai main be-zaban nahin hun ba-pas-e-hurmat-e-harf gada hua koi khanjar meri zaban mein hai sabhi zamin ke rishton se kat rahe hain hum qadam zamin pa dimagh apna aasman mein hai main apni zat ki patal tak ko chhu aai jo dubne mein nasha hai kahan udan mein hai pahunch se apni bahut dur ja chuki hun to phir koi to aalam-e-nayaft mere dhyan mein hai koi to hogi bahar-haal maslahat teri wagarna tir to ab tak teri kaman mein hai ab apni zat ka idrak ho chala hai 'shabin' ki meri jaan mein hai jo bhare jahan mein hai