mehr-e-khuban khana-afroz-e-dil-afsurda hai shoala aab-e-zindagani-e-charagh-e-murda hai murgh-e-dil teri nigah ka ho chuka ab to shikar ja kahan sakta hai yan se said-e-nawak-khurda hai hai bahaar-e-rang-o-bu-e-taza ru-e-khasm-e-jaan salim aafat-e-hawadis se gul-e-pazhmurda hai jaan-o-iman din-o-dil jo tha bisat apna diya aur kya chahe hai tu mujh se jo ab aazurda hai ai shah-e-iqlim-e-khubi ta-sar-e-darwaza aa nazr ko 'bedar' teri jaan-ba-kaf-awarda hai