mir-e-majlis-e-rindan aaj wo sharabi hai khun-e-dil jise mera bada-e-gulabi hai dil ko sakht betabi chashm ko be-khwabi hai hijr mein tere zalim ye ye kuchh kharabi hai aish chahiye jo kuchh so to aaj hai maujud jam o mai hai saqi hai sair-e-mahtabi hai subh hone de tuk tu raat hai abhi baqi tujh ko ghar ke jaane ki aisi kya shitabi hai hum hain aur tum ho yan ghair to nahin koi aa gale se lag jao waqt-e-be-hijabi hai tere ai pari-paikar sine par nahin pistan taq-e-husn par goya shisha-e-hababi hai kyun na bazm mein 'bedar' howe qabil-e-tahsin har yak is ghazal ke bich sher intikhabi hai