mehr-o-mah bhi larzan hain faza ki banhon mein

mehr-o-mah bhi larzan hain faza ki banhon mein
ahl-e-dil khiraman hain kaisi shah-rahon mein

be-kasi barasti hai zindagi ke chehre se
kaenat ki sansen dhal rahi hain aahon mein

zabt-e-gham ki takiden thin so khair thin lekin
kuchh talafiyan bhi thin raat un nigahon mein

hum tujhe bhula kar bhi kya sukun paenge
zindagi to hai tere dard ki panahon mein

dasht-e-dil mein ab teri yaad yun bhatakti hai
jaise koi diwana shab ko shah-rahon mein

muddaten huin us ne aankh bhar ke dekha tha
phir rahi hain wo aankhen aaj tak nigahon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close