kahe to kaun kahe sarguzasht-e-akhir-e-shab junun hai sar-ba-gareban khirad hai mohr-ba-lab hudud-e-shauq ki manzil se ta-ba-hadd-e-adab hazar marhala-e-jaan gudaz o sabr-talab ye aalam-e-qad-o-gesu ye husn-e-ariz-o-lab tamam nikhat-o-naghma tamam sher-o-adab badal saka na zamana mizaj-e-ahl-e-junun wahi dilon ke taqaze wahi nazar ki talab hazar harf-e-hikayat wo ek nim-nigah hazar wada-o-paiman wo ek jumbish-e-lab thake thake se sitare dhuan dhuan si faza bahut qarib hai shayad sawad-e-manzil-e-shab 'surur' manzil-e-jaanan hai kab se chashm-ba-rah bhatak raha hai kahan karwan-e-shauq-o-talab