mein aisa zauq-e-zebaish ba-ru-e-kar le aaya ki khud-arai ki khatir libas-e-dar le aaya zamin ki mehwari gardish se umren ghatti badhti hain guzarta waqt sae ko pas-e-diwar le aaya magar mujh ko ye ehsas-e-nadamt mar dalega parae ped se phal tod kar do chaar le aaya ye sare log us ke haq mein rae dene wale hain wo apni sari taswiren sar-e-bazar le aaya jahan se wapsi ka rasta qismat se milta hai wahan tak qafile ko qafila-salar le aaya wirasat mein 'nasim' is se badi jagir kya hogi main dil ki dhadkanon mein apni man ka pyar le aaya