hum ne har gham dil-e-sad-chaak se bahar rakkha aag ko pairahan-e-khak se bahar rakkha zeb-e-tan hum ne bhi kar rakkhi ye duniya lekin tere har rang ko poshak se bahar rakkha khwab-dar-khwab tujhe dhundne walon ne bhi ab nind ko dida-e-namnak se bahar rakkha ek tarah dhyan hi aisa ki jise hum ne yahan nafa nuqsan ke pechaak se bahar rakkha ujrat-e-ishq bahut kam thi sau hum ne 'shahzad' dil ko is tangi-e-aflak se bahar rakkha