mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka

mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka
phika phika rah jata tyauhaar bhi is diwali ka

mayon baithe rup-sarup ke rog se waqif lagti hai
aanchal bhiga jata hai is dulhan ki shahbaali ka

bartan bartan chikh rahi thi kaun samajhta us ki baat
dil ka bartan khali tha us bartan bechne wali ka

gal ki jaanib jhukti hai sharmati hai hat jati hai
aaj irada thik nahin hai jaan tumhaari baali ka

shahzade talwar thama de ab darban ke hathon mein
kah de khali hath na jae ab ke bar sawali ka

phir 'mumtaz' kisi ki yaaden kunjen ban kar lauteng
mausam aane wala hai phir zakhmon ki hariyali ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close