rukh-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut jami hui hai abhi gard-e-mah-o-sal bahut gurez-pa hai jo mujh se tera visal to kya mera junun bhi hai aamada-e-zawal bahut mujhe har aan ye deta hai wasl ki lazzat wafa-shanas hai tujh se tera khayal bahut kitab-e-zist ke har ek waraq pe raushan hain ye teri farda-nigahi ke khad-o-khal bahut palat gae jo parinde to phir gila kya hai har ek shakh-e-shajar par bichhe hain jal bahut tumhein hai naz agar apne husn-e-sarkash par to mera ishq bhi hai ru-kash-e-jamal bahut azan-e-subh ki har lai ki tar tut gae farogh-e-zulmat-e-shab ka hai ye kamal bahut kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut