melon mein ghumte rahe tanhai bech di phir yun hua ki chashm-e-tamashai bech di sauda kabhi khasare ka us ne kiya nahin shohrat kharid li kabhi ruswai beach di be-nam se talluq-e-khatir ke waste ek ajnabi ke hath shanasai bech di achchha kiya ki garmi-e-bazar dekh kar unche lage jo dam to goyai bech di ab bandish-e-nigah ki qimat bahut badhi logon ne ja ke apni hi binai bech di dawe tumhaare ishq ke baatil hue sabhi panw ke zakhm dasht ki pahnai bech di ab jaan-ba-lab hain shahr ke bimar be-shumar zar ki hawas mein sab ne masihai bech di