mauj-e-dariya ke labon par tishnagi hai karbala reg-e-sahil par tadapti zindagi hai karbala sabr ki aur zabt ki ye manzilen hain aakhiri azm ahl-e-bait ka kya dekhti hai karbala haq kabhi jhukta nahin hai sar bhi kat jae agar zehn-o-dil ke waste ek aagahi hai karbala kyun sakina aur zainab is qadar khamosh hain dur tak sahra mein dekho khamushi hai karbala mit gaya hai farq sab farda mein aur diroz mein mat de kar rakhsh-e-dauran ko chali hai karbala ta-qayamat zikr se raushan rahegi ye zamin zulmaton ki sham mein ek raushni hai karbala ai gham-e-sham-e-ghariban ai shab-e-tar-e-alam ahl-e-dil ko roz-o-shab tadpa rahi hai karbala