mera badan hai magar mujh se ajnabi hai abhi mere khayal se mujh mein koi kami hai abhi sahar sahar na pukaro dubak ke so jao tumhaare hisse ki shab to bahut padi hai abhi na puchho kaise huin dher ghar ki diwaren wo ek sada usi malbe mein ghumti hai abhi wo jis ki lahron ne sadiyon ka farq dal diya hamare beach mein hail wahi nadi hai abhi main thak gaya hun mujhe ek lamha sone do main jaanta hun ki manzil bahut padi hai abhi main us ke waste suraj kahan se aakhir laun na jaane raat mujhe kya samajh rahi hai abhi na jaane kab se safar mein thi us ko mat chhedo ye gard mere badan par zara jami hai abhi wo main nahin tha wo meri sada thi galiyon mein ki mere panw mein zanjir to padi hai abhi na jaane waqt kab album samet le apna ye tez tez hawa yun to chal rahi hai abhi