tum ne jab ghar mein andheron ko bula rakkha hai uth ke so jao ki darwaze pe kya rakkha hai har kisi shakhs ke rone ki sada aati hai phir kisi shakhs ne basti ko jaga rakkha hai apni khatir bhi koi lafz tarashen yaro hum ne kis waste yun khud ko bhula rakkha hai dekhne ko hai badan aur haqiqat ye hai ek malba hai jo muddat se utha rakkha hai tu agar tha to bahut dur the hum tujh se ki ab tu nahin hai to tujhe pas bitha rakkha hai hum kisi tarah tujhe dhund len mumkin hi nahin tu ne har rah ko sahra se mila rakkha hai