mera bikharna pas-e-jism-o-jaan nahin dekha

mera bikharna pas-e-jism-o-jaan nahin dekha
kisi ne jalte diye ka dhuan nahin dekha

kuchh itna jhuk ke chale hum lihaz-e-duniya mein
zamin hi dekhi kabhi aasman nahin dekha

kabhi wo aankh mein hai to kabhi hai aansu mein
kahin bhi hum ne use be-makan nahin dekha

dayar-e-ghair mein ek shakhs se kaha main ne
na dekha kuchh bhi jo hindostan nahin dekha

tamazaton se jise sabiqa tha hum ne use
shajar ke sae mein bhi shadman nahin dekha

mera hi ashk pilate ho mujh ko mahfil mein
tumhaare jaisa koi mezban nahin dekha

use ho lafz ka irfan kis tarah 'abbaad'
ki jis ne lafz ka aatish-fishan nahin dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close