patthar uThaya usne to majbur ho gae

patthar uthaya us ne to majbur ho gae
karte bhi kya ki shisha the hum chur ho gae

mere makan ke shoalon mein jalne ki der thi
haalat us ke baad ba-dastur ho gae

kyon zindagi ke raqs mein shamil nahin hain ab
ye ja ke un se puchh jo mazur ho gae

hum aaftab rakh ke rahe inkisar mein
jugnu mila unhen to wo maghrur ho gae

ye haq-kushi ka daur hai is waste tere
nahaq mutalibaat bhi manzur ho gae

'abbaad' fikr meri thi sochen meri magar
niklin qalam se jin ke wo mashhur ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close