mera darman hai na kabe mein na but-khane mein rind hun mujh ko pada rahne do mai-khane mein us ko samjhi hai na samjhegi majazi duniya hai haqiqat hi haqiqat mere afsane mein liye phirti hai mujhe manzil-e-jaanan ki talash chain hasil hai gulistan mein na virane mein un ke kahne se use tod dun kaise aakhir ilm jin ko nahin kya hai mere paimane mein rabt-e-baham bhi ajab shai hai gale milte hi shama ka nur nazar aata hai parwane mein husn ru-posh hai to did ke qabil kya hai ab kise dekhun bhala dahr ke gham-khane mein sinche jao ise tum apne lahu se kashfi phul khil jaenge ek din isi virane mein