jina marna donon muhaal ishq bhi hai kya ji ka wabaal mal-o-manal-o-jah-o-jalal apni nazar mein wahm-o-khayal hum na samajh pae ab tak duniya ki shatranji chaal kuchh to shah bhi tumhaari thi warna dil ki aur ye majal kis kis se hum nibtenge ek hai jaan aur sau janjal mast ko girne de saqi han us ke shaer ko sambhaal hum aur khauf-e-ruswai naseh bhi karta hai kamal un ki nazar se gir gaya jab shisha-e-dil mein aaya baal kuchh duniya ke kuchh dil ke rog liye hain hum ne pal saqi saghar bhar de jald dhaal nigahon se bhi dhaal umr to kya pai hai magar guzre hain kuchh mah-o-sal sab dil ki nadani hai kaisa firaq aur kis ka visal apni wafa bhi nirali hai un ki jafa bhi be-timsal ek nigah ki gardish ne kya kya fitne diye hain uchhaal 'kaif'-e-hazin-o-khasta ki yaad mumkin ho to dil se nikal