mera dil ek sulagta sa kuan kyun yahan thahra hi karta hai dhuan kyun wo thandi chhanw pedon ki wo jhonke wahan kyun aap hain aur hum yahan kyun koi malik koi mali nahin kya chaman mein is tarah pagdandiyan kyun ek aansu hi to tapka tha zamin par wahin nikla tumhaara aastan kyun tawana aarzu hum bhi tawana wo dubli kanpti parchhaiyan kyun jo lamhe ungliyon se chhin chuke hain abhi tak kah rahe hain dastan kyun khizan pal-bhar mein aaya chahti hai diye jati hai khushbu loriyan kyun