kis tarah nala kare bulbul chaman ki yaad mein ghis gai us ki zaban to shikwa-e-sayyaad mein dad-khwahon ki agar pursish hui roz-e-jaza sab se pahle aaenge hum arsa-e-faryaad mein kya lipat jaen tera qamat samajh kar is ko hum ye nazakat ye sabahat hai kahan shamshad mein kaam mashuqon se bhi aashiq ke leta hai ye ishq kyun na shirin jaan de apni gham-e-farhad mein daman-e-dil ai nasim-e-gulshan-e-jannat na khinch lag gaya hai ji hamara is kharab-abaad mein hashr tak bhi khinch nahin sakne ki surat yar ki gar yunhi hujjat rahegi mani-o-bahzad mein kucha-e-jaanan mein yaro kaun sunta hai meri mujh se wan phirte hain lakhon dad aur bedad mein sher kahna aap se 'ghafil' kabhi aata nahin umr ek jab tak na khoi khidmat-e-ustad mein