mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota

mera diwana-pan farzangi se kam nahin hota
ki main rota hun pahron aur daman nam nahin hota

tera gham sahne wale par zamana muskuraata hai
magar har shakhs ki qismat mein tera gham nahin hota

mah-o-khurshid ki tabindagi kam hoti rahti hai
magar dagh-e-tamanna ka ujala kam nahin hota

abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad
mohabbat ka chaman minnat-e-kash-e-shabnam nahin hota

qayamat tak rahe saqi salamat tera mai-khana
pilai hai kuchh aisi kaif jis ka kam nahin hota

waqar-e-ishq par us daur se bhi harf aata hai
'aziz-warsi' wo dard jo paiham nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close