phirti hai zindagi janaza-ba-dosh

phirti hai zindagi janaza-ba-dosh
but bhi chup hain khuda bhi hai khamosh

koi meri tarah jiye to sahi
zindagi dar-gulu ajal bar-dosh

didani thi ye kaenat bahut
hum bhi kuchh din rahe kharab-e-hosh

ghar se tauf-e-haram ko nikla tha
rah mein thi dukan-e-baada-farosh

ek talluq qadam ko rah se hai
main na aawara hun na khana-ba-dosh

hum se ghafil nahin hain ahl-e-sitam
ek zara thak ke ho gae hain khamosh

ji mein hai koi aarzu kije
yani baqi hai sar mein masti hosh

hai ye duniya bahut wasia to ho
main hun aur tera halqa-e-aghosh

dil ko rote kahan talak 'akhtar'
aakhir-kar ho gae khamosh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close