mera gham-gusar koi nahin kisi lab pe aai dua nahin mere chaaragar tere pas bhi mere dard-e-dil ki dawa nahin kabhi sath sath hai tu mere kabhi dur tak bhi piya nahin mere ham-safar teri dosti ka ye raaz kya hai khula nahin teri aarzu meri zindagi teri justuju meri bandagi teri yaad meri namaz hai koi kaam is ke siwa nahin wahi be-khudi wahi sarkhushi wahi be-hoshi wahi gumrahi mujhe aap apni talash hai main kahan hun mujh ko pata nahin ye to apna apna khulus hai ye to apna apna suluk hai koi chahne se gira nahin koi puchhne se utha nahin tujhe mangne se milega kya tera sar jhukane se hoga kya ye to pattharon ka jahan hai yahan koi tera khuda nahin main khizan-nasib sada raha main bhari bahaar mein lut gaya mujhe ras aai na zindagi mujhe mil ke kuchh bhi mila nahin na to ab khushi ki talash hai na sukun ki mujhe aarzu yahi zindagi ka hai faisla ki khushi bhi gham ke siwa nahin wo nafas nafas mein khalish teri wo tere khulus ki be-rukhi tujhe har qadam yahi khauf hai tera gham to mujh se juda nahin wahi dil mein hai wahi lab pe hai wahi aansuon mein rawan-dawan use kaise bhulun 'sahar' bata jo mere nafas se juda nahin