mujh ko kahta hai muskurane ko jaane kya ho gaya zamane ko mujh ko tufan kya dubo sakta dil hi chaha tha dub jaane ko apni hi dastan samajh baithi sun ke duniya mere fasane ko bazm mein teri hum chale aae az-sar-e-nau fareb khane ko hum jhuka kar jabin-e-shauq apni khud bula lenge aastane ko hum chhidakte rahe lahu apna aashiyan mein bahaar lane ko teri yaadon ne rah-rawi ki hai jab bhi chaha tujhe bhulane ko ashk ban kar charagh aate hain meri palkon pe jagmagane ko main sahar ban ke aa gaya hun 'sahar' dahr se tirgi mitane ko