mera haal mujh se na puchhiye ki main gham se sina-figar hun jise aasman ne jala diya usi karwan ka ghubar hun jahan jal raha tha kabhi diya jahan sadqe hoti thi kahkashan jise koi dekh ke ro pade main wahi to sang-e-mazar hun ye bahaar aur ye gulsitan meri tishnagi ke harif hain mujhe bijliyon ki talash hai ki main dil-jalon ki pukar hun yahi ras aai hai dosti ki fasana ban gai zindagi tere ek gham ka sila hai ye ki hazar gham se do-chaar hun meri qabr un ki gali mein ho mera munh nahin hai ye dosto kahin dal do meri lash ko ki main nang-e-kucha-e-yar hun main falak ki aankh ka nur hun main kisi ka husn-e-ghurur hun main fareb-e-ishq ki aabru main mohabbaton ka qarar hun meri tuti aas bandhae kaun mera dard puchhne aae kaun jise tu ne dar se utha diya main wahi to 'nazish'-e-zar hun