mera har tir nishane pe na pahuncha aakhir dar-safar mein bhi thikane pe na pahuncha aakhir totli umr mein jo bachcha zara mushfiq tha kuchh bada ho ke dahane pe na pahuncha aakhir ji ko samjhata hun qismat mein likha tha so hua kuchh sambhal kar bhi bahane pe na pahuncha aakhir ek gham hota to sine se laga leta koi gham ka ambar uthane pe na pahuncha aakhir phal katarne ke liye dar utar aati thi be-samar koi bulane pe na pahuncha aakhir shahr kuchh chhut gae gard-e-safar lipti rahi koi rudad sunane pe na pahuncha aakhir