mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hun so hun mujh ko apne se juda rakh ki main jo hun so hun main ki maslub hun de mujh ko bhi zalim ka khitab sunnat-e-isa jila rakh ki main jo hun so hun mere ghar mein hai jo ghasib to nikalun ki nahin mujh pe ilzam-e-jafa rakh ki main jo hun so hun tere maqtul pe sargarm hain sare munsif meri lashon ko utha rakh ki main jo hun so hun garm aahon pe hai ilzam ki hun shoala-nafas mujh ko phunkon se bujha rakh ki main jo hun so hun kyun sahifon mein likha hai ki milega insaf lafz-o-mani na juda rakh ki main jo hun so hun teri zambil mein har chaal purani hai raqib mujh ko apnon se lada rakh ki main jo hun so hun apne wirse se tera qabza hatana hai haris nam dahshat ki bala rakh ki main jo hun so hun main ne aankhon mein jala rakha hai aazadi ka tel mat andheron se dara rakh ki main jo hun so hun gar mera haq na milega to bigad jaegi baat apne pahlu se laga rakh ki main jo hun so hun karbala rakh ke hatheli pe chala hun ghar se baiat-e-zulm hata rakh ki main jo hun so hun jab zaminon mein jaden hain to kidhar jaunga meri shakhen na kata rakh ki main jo hun so hun adl ki mitti mein ugte nahin dahshat ke babul apni mitti ko safa rakh ki main jo hun so hun band aankhon se siyah-ru nazar aaega 'anis' chashm-e-bina ko khula rakh ki main jo hun so hun