mera harif koi hai kahan akela hun haris-e-lazzat-e-lafz-o-bayan akela hun hisar-e-jism se bahar hai kaun mere siwa sanbhaale hathon pe main naqd-e-jaan akela hun main ek sang-e-hidayat khada hun sadiyon se ye gham nahin ki pas-e-karwan akela hun tamam log to behis hain sang ki surat main apne ahd ka ek nauha-khwan akela hun sab apne chehre pe tanqid khud hi karte hain main aaine ki tarah be-zaban akela hun na ab wo bazm-e-samaat na ab wo mahfil-e-shab suna hua sukhan-e-raegan akela hun bahut hai mere liye yaad-e-raftagan 'anwar' akela hote hue bhi kahan akela hun