mera jo kuchh bayan hai pyare dukh-bhari dastan hai pyare misl-e-taswir teri khamoshi tu bhi kya be-zaban hai pyare thokaron se mita na turbat ko ye hamara nishan hai pyare main to teri ada ka banda hun mujh se kyon bad-guman hai pyare shauq se aa gharib-khane par wo to tera makan hai pyare tu na ro mushkilat-e-'shabbar’ par us ka ye imtihan hai pyare