mile kyunkar sukun jab tak ye tanhai nahin jati wo uljhan hai tabiat mein ki suljhai nahin jati ye kaisa khauf kyon bedad farmai nahin jati aji bhulo qayamat ko abhi aai nahin jati tajjub hai namak-dan par namak-dan ho chuke khali bala ke zakhm-e-dil thahre ki gahrai nahin jati samajh le ya to kuchh meri samajh ka pher hai naseh tujhi se ya mere matlab ki samjhai nahin jati jo kuchh biti shab-e-gham mujh pe so biti chalo chhodo gai guzri kahani mujh se dohrai nahin jati ruken ashk-e-musalsal chashm-e-pur-nam se are tauba ye badli khud baras padti hai barsai nahin jati