mera khurshid-ru sab mah-ruyan bich yakka hai ki har jalwe mein us ke kya kahun aur hi jhamakka hai nahin hone ka changa gar sulaimani lage marham hamare dil pe kari zakhm us nawak palak ka hai kai bari bina ho jis ki phir kahte hain tutega ye hurmat jis ki ho ai shaikh kya tera wo makka hai har ek dil ke tain le kar wo chanchal bhag jata hai sitamgar hai jafa-ju hai sharabi hai uchakka hai na ja waiz ki baaton par hamesha mai ko pi 'taban' abas darta hai tu dozakh se ek sharai darakka hai