sajde tere kahne se main kar lun bhi to kya ho

sajde tere kahne se main kar lun bhi to kya ho
tu ai but-e-kafir na khuda hai na khuda ho

ghunche ke chatakne pe na gulshan mein khafa ho
mumkin hai kisi tute hue dil ki sada ho

kha us ki qasam jo na tujhe dekh chuka ho
tere to farishton se bhi wada na wafa ho

insan kisi fitrat pe to qaem ho kam-az-kam
achchha ho to achchha ho bura ho to bura ho

is hashr mein kuchh dad na fariyaad kisi ki
jo hashr ki zalim tere kuche se utha ho

itra ke ye raftar-e-jawani nahin achchhi
chaal aisi chala karte hain jaisi ki hawa ho

mai-khane mein jab hum se faqiron ko na puchha
ye kahte hue chal diye saqi ka bhala ho

allah-re o dushman-e-izhaar-e-mohabbat
wo dard diya hai jo kisi se na dawa ho

tanha wo meri qabr pe hain chaak-gareban
jaise kisi sahra mein koi phul khila ho

mansur se kahti hai yahi dar-e-mohabbat
us ki ye saza hai jo gunahgar-e-wafa ho

jab lutf ho allah sitam walon se puchhe
tu yas ki nazron se mujhe dekh raha ho

farmate hain wo sun ke shab-e-gham ki shikayat
kis ne ye kaha tha ki 'qamar' tum hamein chaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close