mera mazaq-e-ishq hai ruswa kahen jise hai raaz tera husn-e-muamma kahen jise paida kaha hai koi ki tujh sa kahen jise tere siwa hai kaun piyara kahen jise phir kashti-e-umid ho sahil se ham-kanar itna hi ho karam ki sahaara kahen jise ta-zist bekali rahe tere firaq mein jari hon aise ashk ki dariya kahen jise kaba hai tera ghar dil-e-shaida hai tera ghar lekin wo aur kaun hai tujh sa kahen jise ai barq-e-husn phunk de mujh ko kuchh is tarah sab dida-e-kalim ka surma kahen jise phir kashti-e-murad ko sahil ke pas la phir maujzan ho rahm ka dariya kahen jise tufan-e-masiyat se mile jald-tar najat dal aisi ek nazar ki wasila kahen jise nahaq mariz-e-ishq ka karte hain wo ilaj taqdir mein kahan hai mudawa kahen jise paida wo dard kar dil-e-ulfat-nasib mein duniya ke dekhne ko tamasha kahen jise dil ko tajalliyat ki kirnon se de chamak tariki-e-jahan ka ujala kahen jise nazzara-e-jamal se betab ho na dil wo zarf ho ata ki gawara kahen jise jo dil tha apna munis-o-gham-khwar-o-jaan-nawaz itna kahan raha hai ki apna kahen jise parde mein chupke aah na kar tu hamein kharab mil is tarah haqiqat-e-jalwa kahen jise daman-e-afiyat hi ghanimat hai ai 'umar' us par hi un ke zulm hain shaida kahen jise