pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye KHata tauba

pi jab ki mai-e-ishrat ki jab ye khata tauba
pi pi ke sharab-e-gham sau bar kaha tauba

karna tha mujhe sajda main bhul gaya tauba
ja kar dar-e-jaanan par ki main ne khata tauba

duniya mein koi kis se karta hai wafa tauba
dil jis ko diya hum ne ki us ne dagha tauba

ek jam ke pite hi main jhum gaya tauba
saqi ye piyale mein kya tu ne diya tauba

is darja hui muztar yusuf ki mohabbat mein
aakhir ko zulekha ne ki but se haya tauba

pite hi sharab-e-gham sab aish hue rukhsat
main lazzat-e-ishrat bhi ab bhul gaya tauba

har-waqt gunahon se go thi mujhe dilchaspi
tha ijz pasand un ko karta hi raha tauba

ek aalam-e-hairat mein aaghosh-e-mohabbat mein
mai kis ne pilai thi main bhul gaya tauba

jo kaam na karna tha wo kaam kiya main ne
jo kaam tha karne ka wo ho na saka tauba

aaya hun azal se main warafta haqiqat ka
duniya ki mohabbat mein ho jaun fana tauba

kuchh shauq-e-shahadat mein kuchh josh-e-mohabbat mein
qatil ke tabassum par bismil ne kaha tauba

bas dekh li ai duniya ye chaaragari teri
bimar-e-mohabbat ko deti hai dawa tauba

rindon ke muqaddar mein thi baada-kashi lekin
waiz ne jo mai pi li saqi ne kaha tauba

har-waqt tasawwur mein har khalwat-o-jalwat mein
sau bar unhen dekha phir bhul gaya tauba

hai aag ki barish si sine mein 'umar' har dam
hai ishq ki duniya mein garm aab-o-hawa tauba


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close