mera mazmun sawar-e-tausun-e-tab-e-rawan ho kar zamin-e-sher par phirta hai goya aasman ho kar khatak jate hain chashm-e-barq mein mera nishan ho kar ghazab dhate hain yani chand tinke aashiyan ho kar sun ai josh-e-junun taqlid-e-majnun ki nahin achchhi mabaada hum bhi rah jaen kisi din dastan ho kar dama-dam shoabde hum ko dikhata hai koi jalwa kahin shaikh-e-haram ho kar kahin pir-e-mughan ho kar in aankhon se bahaar-e-bagh-e-duniya dene walo ye aankhen rang laengi kisi din khun-fishan ho kar aji kya shama kya parwana donon jal bujhe aakhir koi aatish-fishan ho kar koi aatash-bajaan ho kar khuda mahfuz rakkhe ye hasin dil le hi lete hain kisi par mehrban ho kar kisi se sargiran ho kar na paya aur kuchh bhi juz khuda kabe mein ai 'akhtar' bahut nadim hue hum but-kade se bad-guman ho kar