mai-kade mein baith kar iman ki parwa na kar ya use bhi ek do chullu pila diwana kar muskura de qissa-e-ummid kar de mukhtasar ya badha le chal zara si baat ko afsana kar khush-mazaqi shart ho jis ke nazare ke liye us gul-e-khud-ru ko yarab zinat-e-virana kar hadisa hai lekin aisa ghair-mamuli nahin shama par parwana jalne de koi parwana kar