mera nahin hai aur na kisi aur hi ka hai partaw jahan kahin hai teri raushni ka hai panchhi darakht phul to munh dhak ke so gae jangal mein raj-pat bas ab chandni ka hai lutne ka dar sahi pa mohabbat ki rah mein jaana to usi gali se har ek aadmi ka hai barson purana zakhm hai aisa hara magar dekhe tabib to wo kahe aaj hi ka hai ghar jal raha hai samne us ko bachaiye phir us ke baad agla makan aap hi ka hai