har mod nai ek uljhan hai qadmon ka sambhalna mushkil hai wo sath na den phir dhup to kya sae mein bhi chalna mushkil hai yaran-e-safar hain tez-qadam ai kashmakash-e-dil kya hoga rukta hun to bichhda jata hun chalta hun to chalna mushkil hai ab hum pe khula ye raaz chaman uljha ke bahaaron mein daman kanton se nikalna aasan tha phulon se nikalna mushkil hai tabani-e-husn-e-alam hai garmi-e-mohabbat ke dam se parwane agar mahfil mein na hon phir shama ka jalna mushkil hai nakaami-e-qismat kya shai hai kya chiz shikasta-pai hai do-gam pe manzil hai lekin do-gam bhi chalna mushkil hai ya hum se pareshan khushbu thi ya band hain ab kaliyon ki tarah ya misl-e-saba aawara the ya ghar se nikalna mushkil hai likhte rahe khun-e-dil se jise taid-e-nigah-e-dost mein hum 'iqbaal' ab us afsane ka unwan badalna mushkil hai