mera rafiq pas-e-jism-o-jaan zinda raha yaqin murda hua par guman zinda raha jahan wo rahta tha ab us ki yaad rahti hai makin baghair bhi goya makan zinda raha bas us ke hone ka ehsas hai gharaz ki khuda wajud wahime ke darmiyan zinda raha sukhan se faeda kuchh ho to koi bole bhi main jis jagah bhi raha be-zaban zinda raha tamam umr kati bebasi ke aalam mein yun kahne ke liye budha jawan zinda raha wo jab talak raha mahaul khush-gawar raha wo bazm mein sifat-e-zafran zinda raha