mera sawal hai ai qatilan-e-shab tum se ki ye zamin munawwar hui hai kab tum se charagh bakhshe gae shahr-e-be-basarat ko ye kar-e-khair bhi sarzad hua ajab tum se wo ek ishq jo, ab tak hai tishna-e-takmil wo ek dagh jo raushan hai roz-o-shab tum se meri numud mein wahshat hai, meri soch mein shor bahut alag hai meri zindagi ka dhab tum se mere khitab ki shiddat pe chikhne walo tumhaare lahje mein goya hua hun ab tum se shikasta rishton ki hathon mein dor thame hue main puchhta hun mere dosto sabab tum se tumhaare nam ki tohmat hai mere sar pe 'nabil' juda hai warna mera shajra-e-nasab tum se