main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab ek khwab meri aankh ka mehman tha kal shab kis gham mein bikharte rahe aakash pe tare kyun chand pareshan pareshan tha kal shab har aan koi yaad chamakti rahe dil mein har lamha koi shor tha, tufan tha kal shab kya jaaniye kya us ki nadamat ka sabab tha kya jaaniye kyun main bhi pasheman tha kal shab thahri hui lagti thi hawa aur har ek shai jaise ki badan waqt ka be-jaan tha kal shab ek nur sa phaila raha us samt se is samt jugnu meri ummid ki pahchan tha kal shab phir subh-e-munawwar ki bashaarat hui mujh ko phir dur talak rasta aasan tha kal shab