mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka
tulu-e-subh-e-mahshar chaak hai mere gareban ka

azal se dushmani taus o mar aapas mein rakhte hain
dil-e-pur-dagh ko kyunkar hai ishq us zulf-e-pechan ka

kisi khurshid-ru ko jazb-e-dil ne aaj khincha hai
ki nur-e-subh-e-sadiq hai ghubar apne bayaban ka

chamakna barq ka lazim pada hai abr-e-baran mein
tasawwur chahiye rone mein us ke ru-e-khandan ka

diya mere janaze ko jo kandha us pari-ru ne
guman hai takhta-e-tabut par takht-e-sulaiman ka

kisi se dil na is wahshat-sara mein main ne atkaya
na uljha khar se daman kabhi mere bayaban ka

tah-e-shamshir-e-qatil kis qadar bashshash tha 'nasikh'
ki aalam har dahan-e-zakhm par hai ru-e-khandan ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close