tumhaari shakl kisi shakl se milate hue main kho gaya hun naya rasta banate hue mera nasib ki patjhad mein khil gae hain phul wo hath aa laga hai hath aazmate hue main jhut bol dun lekin bura to lagta hai tumhaare sher kisi aur ko sunate hue utar ke shakh se auron mein ho gaya aabaad ki umr kat di jis phul ko khilate hue akela main nahin mujrim shab-e-visal ka dost thi teri phunk bhi shamil diya bujhate hue tere jamal ki rangat nazar mein rakhta hun main canwas pe taswir-e-gul banate hue isi guman mein shab bhar sharab pite rahe ki ab wo hath ko rokega haq jatate hue