mera tafakkur ghubar-sochen nikhaarta hai

mera tafakkur ghubar-sochen nikhaarta hai
ki meri aankhon mein surkh shabnam utarta hai

main aaj khauf-e-khuda se mahrum ho gaya hun
kai khudaon ka khauf ab mujh ko marta hai

dara raha hai mujhe wo mere padosiyon se
mere jigar mein jo zahr-e-khanjar utarta hai

mere mohalle mein mere bhai jhagad rahe hain
udhar koi apne tarkashon ko sanwarta hai

hisar-e-zulmat mein kab se insan bhatak raha hai
kisi nae din ko daur-e-hazir pukarta hai

dam-e-sarafil hai naqib-e-jahan-e-nau hai
wo ek jazba ki sar dilon mein ubhaarta hai

nawed hai ek jahan-e-nau ki isi ke dam se
hamari ruhon mein irtiqa par sanwarta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close