garche aisa sada nahin hota

garche aisa sada nahin hota
han kabhi kuchh pata nahin hota

log milne ko mil hi jate hain
un se par samna nahin hota

rasm-e-duniya nibha rahe hain hum
khud se hi rabta nahin hota

bin piye bhi kai bahakte hain
hum ko pi kar nasha nahin hota

un ko but hi samajh ke puja tha
pujne se khuda nahin hota

kahne sunne se kya nahin hota
aadmi yun bura nahin hota

ye ghadi ab ki aan pahunchi hai
dil mein wo walwala nahin hota

be-gharaz kaun hai yahan 'zahid'
mil ke bhi faeda nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close