mera tarz-e-bayan-e-shauq bebakana hota hai amal jo rind se hota hai wo rindana hota hai meri rudad mein muzmar hai haal-e-zindagi tera bayan-e-ishq goya husn ka afsana hota hai nahin milti hai dam lene ki mohlat sham-e-mahfil ko idhar parwana hota hai udhar parwana hota hai harif-e-nargis-e-mastana kya koi tumhaara ho jise diwana tum karte ho wo diwana hota hai kabhi rindan-e-mahfil be-piye makhmur hote hain kabhi ye khas faiz-e-nargis-e-mastana hota hai jab un se zo'm-e-khuddari mein khinch jata hun kahti hain ye tarz-e-mirzayana to mashuqana hota hai jab abr-e-mai-kada-bar-dosh sehn-e-bagh mein aae usi ko kahte hain farzana jo diwana hota hai janab-e-waiz-e-rangin-bayan se koi ye puchhe ki kyon har waz mein zikr-e-mai-o-paimana hota hai main kahne ko to apni dastan-e-ishq kahta hun magar munh se nikal kar husn ka afsana hota hai mai-e-ummid se bhar leta hun aajiz nahin hota tahi-dasti mein jab khali mera paimana hota hai badha deta hun main khud hath rukta hai agar saqi mera har feal bazm-e-mai mein be-bakana hota hai abhi jo raaz hai pinhan ayan ho jaega ek din ki afsun-e-mohabbat hi to phir afsana hota hai rahi qaid-e-makan se mai-kashi aazad 'bedil' ki jahan wo baith jata hai wahi mai-khana hota hai